TARANA E RABBANI
Mujhe Allah ne bakhshi hai buland parvaz taabani
Meri raushan hai peshani main rabbani hoon rabbani
Qalam hai apne haathon mein ye hi awzaar hai apna
Ye hi tehzeeb apni hai ye hi kirdaar hai apna
Abhi nanneh parinde hain magar saheen baneinge hum
Kabhi Quraan banege hum kabhi Yaseen baneinge hum
Nahin karta koi aisaa magar hum baant lete hain
Nahin rakhte khalish koi hunar hum baant lete hain
Yehin hai kahkashaan sari yahin shamso qamar bhi hain
Yahin rashke bashar bhi hain yahin ilm o hunar bhi hain
Alag andaaz hai apna alag pahchaan rakhte hain
Reyaz e ilm mein hum ik gul e rehaan rakhte hain
Kahe gi dunya rabbani teraa aaghaaz kaafi hai
Tu Shaheen se bhi badh kar hai teri parwaz kafi hai